Shehr

kuchh badla badla sa yeh shehr nazar aata hai ab
zindagi shayad kuchh aur rang dikhayegi

ek ajab si badbu hai hawaon mein
zehen ki sadan shareer tak pahunch gayi hai shayad
galne laga hai ehsaas ka har ek hissa
kuchh badla badla sa yeh shehr nazar aata hai ab

kal ke jo khwab the, woh aaj haqeeqat ho gaye hain
gaye waqt ki haqeeqat bhi ab khwab si lagti hai
apne paraaye ki hadein bhi kamzor pad gayi hain
kuchh badla badla sa yeh shehr nazar aata hai ab

kabhi kabhi yeh shaq bhi hota hai mujhko
ki shehr shayad badla nahi hai
nazariya mera hi shayad badalta ja raha hai toh
kuchh badla badla sa yeh shehr nazar aata hai ab

Great! You’ve successfully signed up.

Welcome back! You've successfully signed in.

You've successfully subscribed to Drishtikone - Online Magazine on Geopolitics and Culture from Indian Perspective.

Success! Check your email for magic link to sign-in.

Success! Your billing info has been updated.

Your billing was not updated.