Ghar

Wo shehr jise main ghar kehta tha
Jahaan mera bachpan rehta tha
Wo shehr zara badla lagta hai
Bas yaadon mein apna lagta hai

Jisne pairon ko pankh diye
Ta umra jahan sapnon ko jiye
Ma baba ki chhaon mein
Jahaan kitne lamhe fateh kiye
Wo shehr zara badla lagta hai
Bas yaadon mein apna lagta hai

Jahaan cycle pe udna seekha tha
Aur luna pe sadken naapi thi
Bhaiya se maangi motorcycle
Jahaan raja banne ko kaafi thi
Wo shehr zara badla lagta hai
Bas yaadon mein apna lagta hai

Kayi dost mile, kuchh dushman bhi
Anginat martaba ishq huye
Kaanch ke kuchh sapne tute
Jahaan tute dil kitni baar jude
Wo shehr zara badla lagta hai
Bas yaadon mein apna lagta hai

Great! You’ve successfully signed up.

Welcome back! You've successfully signed in.

You've successfully subscribed to Drishtikone - Online Magazine on Geopolitics and Culture from Indian Perspective.

Success! Check your email for magic link to sign-in.

Success! Your billing info has been updated.

Your billing was not updated.